LALKAAR
hai liye hathiyaar dushman taak mein baitha udhar
aur hum taiyyaar hain seena liye apna idhar
khoon se khelenge holi gar vatan muskhil mein hai
sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai
haath jin mein ho junoon katt te nahi talvaar se
sar jo uth jaate hain voh jhukte nahi lalkaar se
aur bhadkega jo shola-sa humaare dil mein hai
sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai
hum to ghar se nikle hi the baandhkar sar pe qafan
chaahatein liin bhar liye lo bhar chale hain ye qadam
zindagi to apni mehmaan maut ki mehfil mein hai
sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai
dil mein tuufaanon ki toli aur nason mein inquilaab
hosh dushman ke udaa denge humein roko na aaj
duur reh paaye jo humse dam kahaan manzil mein hai
sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai
------------------------------------------------------------------------------
There is something about this when Aamir Khan sings it in RDB
No comments:
Post a Comment